F- मिटता नहीं मिटाने से लिक्खा नसीब का
क़िस्सा ब्यान करती हूं सुनिए ग़रीब का
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- मिटता नहीं मिटाने से लिक्खा नसीब का
क़िस्सा ब्यान करती हूं सुनिए ग़रीब का
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- रहता था फ़ैज़ गांव में इक बदनसीब था
आलम था उसका नाम वो बेहद ग़रीब था
मजदूरी करके करता वो अपनी गुज़र बसर
बेटी थी उसकी एक,था प्यारा सा इक पिसर
बीवी बड़ी हसीन, बड़ी दीनदार थी
था नाम उसका राबिया खिदमत गुज़ार थी
आलम भी राबिया को किया करता प्यार था
उसकी ख़ता भी होती तो उसको न मारता
बच्चों के साथ जीता वो खुशहाल ज़िन्दगी
बेहद ग़रीब था,न था अहसासे कमतरी
हर रोज़ जाया करता वो अपने तो काम पर
कुरबां थी उसकी ज़िन्दगी अल्लाह के नाम पर
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- इक रोज़ गया काम पे तो ऐसा हो गया
उसको चढ़ा बुखार था बीमार हो गया
आया था वो बुखार में अब घर को लौट कर
बीवी ने सर दबाया, उसके पास बैठ कर
आलम को जब बुखार में राहत थी कुछ मिली
तो डाक्टर के पास वो, शौहर को ले गई
आलम को डाक्टर ने लिखी क़ीमती दवा
लाने को उस दवा के लिए था न होंसला
उस गांव में ही सेठ था उसके वो घर गया
आलम ने दस हज़ार रुपए क़र्ज़ ले लिया
लाकर के पैसे दे दिए बीवी के हाथ में
बीवी ख़रीद लाई दवा,जाके साथ में
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- खाई दवा थी ख़ूब ,न आराम था मिला
बीवी का टूट पाया नहीं अब भी हौसला
आलम को अस्पताल वो लेकर के अब गई
जाकर के वहां जिस्म की सब जांच थी हुई
आई जो जांच होके तो दिल पे गिरा पत्थर
आलम के था शरीर में मुद्दत से केंसर
अब आखिरी मक़ाम था कोई न थी दवा
अब डाक्टर ने राबिया से था यही कहा
शौहर को साथ लेके अभी घर को जाईये
जो इनको खिलाना है वो जाकर खिलाइये
कुछ दिन के ये मेहमान है नहीं इनकी ज़िन्दगी
सर पे खड़ी है मौत, है ये वक़्त आख़िरी
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- कुछ दिन के बाद ही ये क़यामत गई गुज़र
आलम की हंसते बोलते सांसे गईं ठहर
रोई दहाड़ें मार के , दुखियारी राबिया
शौहर की मौत का उसे बेहद ही ग़म हुआ
बस्ती की औरतें उसे देतीं तसल्लियां
वो रंज़ में थी उसके गिरीं घर पे बिजलियां
रो रो के बच्चे कहते अब्बू आंखें खोलिए
हम मुंतजिर हैं हमसे ज़रा कुछ तो बोलिए
बच्चों का हाल देख के सब बेकरार थे
सब सर पे हाथ फेरते बच्चों के प्यार से
अब सारी रिश्तेदारी में दे दी गई ख़बर
सब दौड़े चले आए थे आलम की मौत पर
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- जब आए रिश्ते दार तो कफ़ना दिया गया
जोड़ा सफ़ेद उसको तो पहना दिया गया
जल्दी से लेके लोग जनाजे को चल पड़े
मंज़र था ऐसा देख के आंसू निकल पड़े
ले जाके क़ब्रिस्तान में अब कर दिया दफ़न
बीवी की ज़िंदगी में हुआ था अकेलापन
चालीसवां जब हो गया तो आया सेठ था
उसने तो राबिया से था आकर के ये ही कहा
सुनिएगा मेरी बात, अगर तुम में ताब है
शौहर पे तुम्हारे मेरा बाक़ी हिसाब है
मैं चाहता खाबिंद का वादा निभाइए
क़र्ज़ा पुरे ब्याज़ के , मेरा चुकाइए
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- रो कर के बोली राबिया रंज़ूर हूं बहुत
पैसे कहां से दूंगी मैं, मजबूर हूं बहुत
है सेठ तुम से इलतिजा न तंग कीजिए
आफ़त की मारी हूं अभी पैसा न मांगिए
बोला था सेठ पैसे नहीं तो ये काम कर
जिस घर में रह रही है उसे मेरे नाम कर
पैसा तुझे हर हाल में देना ही पड़ेगा
इस घर से तुझे आज निकलना ही पड़ेगा
अब सेठ ने वकील वहां पर बुला लिया
मजबूर राबिया का उसने घर लिखा लिया
घर लिख गया तो आदमी कुछ उसने बुलाकर
आलम के बीवी बच्चों को अब कर दिया बाहर
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- रोती हुई वो राबिया, घर से निकल गई
कोई नहीं था अपना वो बेघर थी अब हुई
बच्चे थे छोटे छोटे बड़े अश्क़बार थे
खाना नहीं मिला था बड़े बेकरार थे
पहुंची जो एक गांव में तो शख़्स इक मिला
देखी जो राबिया तो उससे यही कहा
आलम की बीवी राबिया लगती हो तुम मुझे
मैं चाहता हूं दे दो बहन, अपने ग़म मुझे
मालुम हैं हालात तुम्हारे जो संग हुआ
इक सेठ ने घर-बार तुम्हारा है ले लिया
है इलतिजा ये मेरी बहन, मेरे घर चलो
गुज़री है तुम पे जो भी नहीं उसका ग़म करो
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
F- वो शख़्स राबिया को अपने घर पे ले गया
बीवी को उसने माजरा सारा बता दिया
बीवी ने सभी को ही गले से था लगाया
फिर गरमा गरम खाना बना कर के खिलाया
खाना सभी ने खा लिया,दिल हो गया ख़ुशी
मुरझाए गुलिस्तां की खिली थी कली कली
बोला था शख़्स दिल नहीं बहना दुखाएंगे
ता उम्र बहन भाई का रिश्ता निभाएंगे
उस शख्स ने करम ये अब बेवा पे था किया
रहने को उसने एक घर बेवा को दे दिया
करते हैं फ़ैज़ जो भी ग़रीबों पे इनायत
देता उन्हें उम्मीद से ज़्यादा ख़ुदा दौलत
दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का
कोरस - दुनिया को नसीहत का, क़िस्सा ये हक़ीक़त का – २
लेखक :- फैज़ मोहम्मद
F- Mitta Nahin Mitane Se Likkha Naseeb Ka
Qissa Bayan Karti Hoon Suniye Gareeb Ka
Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
F- Mitta Nahin Mitane Se Likkha Naseeb Ka
Qissa Bayan Karti Hoon Suniye Gareeb Ka
Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
F- Rehata Tha Faiz Gaon Mein Ik Badnaseeb Tha
Aalam Tha Uska Naam Wo Behad Gareeb Tha
Majdoori Karke Karta Wo Apni Guzar Basar
Beti Thi Uski Ek, Tha Pyara Sa Ik Pisar
Biwi Badi Haseen, Badi Deen-Daar Thi
Tha Naam Uska Rabia Khidmat Guzar Thi
Aalam Bhi Rabia Ko Kiya Karta Pyaar Tha
Uski Khata Bhi Hoti To Usko Na Maarta
Bachon Ke Saath Jeeta Wo Khushhaal Zindagi
Behad Gareeb Tha, Na Tha Ahsaas-E Kamtari
Har Roz Jaya Karta Wo Apne To Kaam Par
Qurban Thi Uski Zindagi Allah Ke Naam Par
Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
F- Ik Roz Gaya Kaam Pe To Aisa Ho Gaya
Usko Chadha Bukhaar Tha Bimaar Ho Gaya
Aaya Tha Wo Bukhaar Mein Ab Ghar Ko Laut Kar
Biwi Ne Sar Dabaya, Uske Paas Baith Kar
Aalam Ko Jab Bukhaar Mein Rahat Thi Kuch Mili
Toh Doctor Ke Paas Wo, Shauhar Ko Le Gayi
Aalam Ko Doctor Ne Likhi Qeemti Dawa
Lane Ko Us Dawa Ke Liye Tha Na Hausla
Us Gaon Mein Hi Seth Tha Uske Wo Ghar Gaya
Aalam Ne Das Hazaar Rupaye Qarz Le Liya
Lakar Ke Paise De Diye Biwi Ke Haath Mein
Biwi Kharid Laayi Dawa, Jaake Saath Mein
Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
F- Khayi Dawa Thi Khoob, Na Aaraam Tha Mila
Biwi Ka Toot Paaya Nahi Ab Bhi Hausla
Aalam Ko Aspataal Wo Lekar Ke Ab Gayi
Jaakar Ke Wahan Jism Ki Sab Jaanch Thi Hui
Aayi Jo Jaanch Hoke To Dil Pe Gira Patthar
Aalam Ke Tha Sharir Mein Muddhat Se Cancer
Ab Aakhri Makaan Tha Koi Na Thi Dawa
Ab Doctor Ne Rabia Se Tha Yehi Kaha
Shauhar Ko Saath Leke Ab Ghar Ko Jaiye
Jo Inko Khilana Hai Wo Jaakar Khilaiye
Kuch Din Ke Ye Mehmaan Hai Nahi Inki Zindagi
Sar Pe Khadi Hai Maut, Hai Ye Waqt Aakhri
Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
F- Kuch Din Ke Baad Hi Ye Qayamat Gayi Guzar
Aalam Ki Hansate Bolte Saanse Gayin Thehar
Roi Dahade Maar Ke, Dukhiari Rabiya
Shohar Ki Maut Ka Use Behad Hi Gham Hua
Basti Ki Auratein Use Deti Tasalliyan
Wo Ranj Mein Thi Uske Girin Ghar Pe Bijliyan
Ro Ro Ke Bachche Kehte Abbu Aankhen Kholiye
Hum Muntazir Hain Humse Zara Kuch To Boliye
Bachchon Ka Haal Dekh Ke Sab Bekarar The
Sab Sar Pe Haath Pherte Bachchon Ke Pyaar Se
Ab Saari Rishtedari Mein De Di Gayi Khabar
Sab Daude Chale Aaye The Aalam Ki Maut Par
Duniya Ko Naseehat Ka, Kissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Kissa Ye Haqeeqat Ka
F- Jab Aaye Rishtedaar To Kafna Diya Gaya
Joda Safed Usko To Pehna Diya Gaya
Jaldi Se Leke Log Janaaze Ko Chal Padhe
Manzar Tha Aisa Dekh Ke Aansu Nikal Pade
Le Jaake Qabristan Mein Ab Kar Diya Dafn
Beevi Ki Zindagi Mein Hua Tha Akelapan
Chalisva Jab Ho Gaya To Aaya Seth Tha
Usne To Rabiya Se Tha Aakar Ke Ye Hi Kaha
Suniye Ga Meri Baat, Agar Tum Mein Taab Hai
Shohar Pe Tumhare Mera Baqi Hisaab Hai
Main Chahta Khwabind Ka Wada Nibhaiye
Karza Pure Byaaj Ke, Mera Chukaiye
Duniya Ko Naseehat Ka, Kissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Kissa Ye Haqeeqat Ka
F- Ro Kar Ke Boli Rabia, Ranjur Hoon Bahut
Paise Kahaan Se Doongi Main, Majboor Hoon Bahut
Hai Seth Tum Se Iltija, Na Tang Kijiye
Aafat Ki Maari Hoon, Abhi Paisa Na Maangiye
Bola Tha Seth, Paise Nahin To Ye Kaam Kar
Jis Ghar Mein Rah Rahi Hai, Use Mere Naam Kar
Paisa Tujhe Har Haal Mein Dena Hi Padega
Is Ghar Se Tujhe Aaj Nikalna Hi Padega
Ab Seth Ne Wakil Wahan Par Bula Liya
Majboor Rabia Ka Usne Ghar Likh Liya
Ghar Likh Gaya To Aadmi Kuch Usne Bulakar
Aalam Ke Biwi Bachchon Ko Ab Kar Diya Baahar
Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
F- Roti Hui Wo Rabia, Ghar Se Nikal Gayi
Koi Nahin Tha Apna, Wo Beghar Thi Ab Hui
Bachche The Chhote Chhote, Bade Ashkbaar The
Khana Nahin Mila Tha, Bade Bekarar The
Pahunchi Jo Ek Gaon Mein To Shakhs Ik Mila
Dekhi Jo Rabia To Usse Yehi Kaha
Aalam Ki Biwi Rabia Lagti Ho Tum Mujhe
Main Chahta Hoon, De Do Behan, Apne Gham Mujhe
Maloom Hain Haalatein Tumhare Jo Sang Hua
Ik Seth Ne Ghar-Baar Tumhara Hai Le Liya
Hai Iltija Ye Meri Behan, Mere Ghar Chalo
Guzaari Hai Tum Pe Jo Bhi, Nahin Uska Gham Karo
Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Qissa Ye Haqeeqat Ka
F-Vo Shakhs Rabiya Ko Apne Ghar Pe Le Gaya
Beevi Ko Usne Maajra Saara Bata Diya
Beevi Ne Sabhi Ko Hi Gale Se Tha Lagaaya
Phir Garma Garam Khana Bana Kar Ke Khilaya
Khana Sabhi Ne Kha Liya, Dil Ho Gaya Khushi
Murjhaaye Gulistan Ki Khili Thi Kali Kali
Bola Tha Shakhs Dil Nahi Behna Dukhaayenge
Ta Umr Behan Bhai Ka Rishta Nibhaayenge
Us Shakhs Ne Karam Ye Ab Bewa Pe Tha Kiya
Rehne Ko Usne Ek Ghar Bewa Ko De Diya
Karte Hain Faiz Jo Bhi Gareebon Pe Inayat
Deta Unhein Umeed Se Zyada Khuda Daulat
Duniya Ko Naseehat Ka, Kissa Ye Haqeeqat Ka
Chorus :- Duniya Ko Naseehat Ka, Kissa Ye Haqeeqat Ka – 2
Writer :- Faiz Mohammad